26 March 2012

hum larkiyan....





Main ek larki hon aur meri tarha aur bhut se larkiyan sochti hoon gi kay woh kyun paida hoi?? un kay jeena ka maqsad kya hai? Jab hum larkiyan gharo say nikalti hain majbori main yah zarorat main to ghar walo ko itna khuaf kyun hota hain woh itna dartay kyun hain?? jab kay hum ghar say nikaltay hain to hum bhut say logo ki batain sunta hain ,ganday  jumlay suntay hain, gandi nazra parti hain .... jab larkiyan in sab ka samna kar sakti hain to koi acha kam kyun nahi kar sakti....
hum larkiyan kiya akaly kuch nahi kar sakti hai??? hamain kiya kuch karna kay liya larko ka sath kyun chaiya hota hai???hamain akalay koi kyun support nahi karta???jab kay larkyun kay pass to karna ka jazba hota hai,  himmat hoti hai , hosla hota hai, kuch acha karna kay liya achay ideas hotay hain. lakin phir bhi is masharay main akalay larkiyan kuch nahi karsakti hai. wesa to hamara waladain , hamara ustad hum ko yeh sekhatay hain kay agay barhoo, kuch karoo, kuch badloo lakin sirf khena ki had tak us kay bad agar hum kuch karta bhi hain to hum ko dara diya jata hain k HUM LARKIYAN HAIN KUCH NHI KAR SAKTI HAI  , beta halat theek nhi hai, muhal to bhat kharab hai, kuch ho jayain ga , akala nahi jana , ufffffffff yeh batain.......yeh log ek jesa kyun nahi rehtay hain.Na karo to batain or agar galti say kuch karna ka irada bhi kar liya to bhi batain . ab kara to kya karay???? agar in ko hamara sath dena hain to day lakin itna bara bara lecture to na day na jis say himmat he tot jaye. phela khud sekhata hain or bad main inkar kartay hain.  yeh larkiyan itni muskkil kyun ban gaye hai ...is ka ek he hal hai yah to hum in kay agay har man jaya yah phir in ko kuch kar dekhayan or sabit kar day kay hum larkiyan kamzor nahi hain agar kuch karna par ati hain to kar sakti hain woh bhi akala......

2 comments: