Kia
Hum Mohazzab Shehri Hain?
Hum ek mohazzab moashre (society) me rehte hain, is liye hum
par kuch iklaqi zimadariyan bhi aaid hoti hain. Is mulk k shehri hone k naate,
hamare jo faraiz hain un ko poora karna hum par farz hain. Agar apne charon
taraf nazar dorrain to har aadmi koi na koi qanoon torta hua nazar a raha hota
hai. Is mulk ko apni jageer samajh kar log jis tarah se qanoon shikni karte
hain us se kam uz kam bahar ki duniya k log hamare mohazzab hone par shak
zaroor karte hain.
Hamare atraf me aise beshumaar log milen ge jo khud ko acha
shehri sabit karni koshish karte hain magar bohat choti si baat par qanoon
torna buri bat nai samajhte. Kia hamare yahan line bana kar bill jama karaya
jata hai? Kai signal ki light hari (green) hone par hi gaariyan chalti hain?
Kia hum bijli chori nai karte? Kia hum apni galiyon ko saaf karne ki koshish
karte hain? Kia hamari deewaron par ishtihar (ads) lagana zaroori hai? Kia hum
ek dosre se aage nikalne k liye over take nai karte? Kia hum apne ghar ki
taqreebat (functions) me halki awaz me gane nai laga sakte? Kia kabhi hum ne ye
socha k hamari in harkaton se kisi ki dil azari to nai ho rahi?
Kia ye hamari iklaqi zimmedari nai hai k kisi maazoor ko
sarak paar karane me us ki madad karen? Ya agar zebra crossing par kuch bache
sarak par karne k intezaar me khare hon to hum apni gari ki raftar kam kar den?
Ya kisi buzurg ko bus me apni jagah bethne k liye den de? Kai hamare under itni ikhlaqi jurrat nai k
kisi ghalti par us ki nishan dahi karen? Kia kabhi ache shehri hone k naate
sarak par hone wale haadse me hum ne kisi ki madad ki? Ye hamara almiya hai k
hum behis ho chuke hain. Hum mohazzab moashre me rehte zaroor hain magar
mohazzab hain nai.
Hum se hamari achi baaten magrabi duniya ne apna li hain. Apne
mulk me wo log kisi kism ki qanoon shikni nai karte. Sab log apna farz samajh
kar apni zimmedarion ko pora karet hain. Kash hamare under bhi ye ehsaas jag
jaye k ye mulk hamari jageer nai balke jannat hai. Yahan par rehte hue apne
parhe likhe hone ka saboot den. Shayad hamari koshish hamare mulk ko badal de.
boht acha topic, boht acha writing style, saba ki terha sedha, masoom lakain herat touching ..:)
ReplyDeleteRight
Deletezaburdast :) saba tum urdu main bhi acha likh layti hooo...
ReplyDeleteIts really v good!! Can u plz write an essay on "acha shehri" plzz?
ReplyDelete