Zindagi Ka Aitabar Nahi ….
“ khala ye kitna bolti haina, please Nasheela apni ye zaban
chale wali speed zara hath chale main lagao”
Ye jumla main or meri khala hamesha hi us k barai main kaha
kartai thai . Nasheel, 24 saala khoobsurat or khoobseerat larki thi, jisai
Khuda nai har naimat sai nawaza tha siwai dolat kai. Ghareeb gharanae sai taluq
rkhne wali ye larki ek ese hunar sai malamal thi jo k na sirf is k ghar ki rozi
ka zariya banta tha bul k uski acahnak maut ka sabab bhi ban gaya.. …. Nasheel dulhano
ko mehndi lagaya karti thi or itni khubsurat mehndi k jisai lagti wo yhi dua
mangtai thai kai is mehndi ka rang kabhi na utrai ….per kon janta tha k jis
mehndi ki wajah sai wo sheher bhar main mashahoor thi wohi mehndi uski jan lai
lai gi……. Nasheela nai 12 saal ki umar main hi behtreen mehndi lagana shuro
kardi thi or itnae arsai main najane kitnai logo kai hath uski mehndi sai
khubsurti ki bheer charhai. per najane usai kiski nazar usai kha gai. Is larki
ki ek bat buhat ajeeb thi k wo sab ko to buhat shauk sai mehndi lagati thi per
usnai apne hath sai kabhi khud apne hath p mehndi nhi lagai. Wo hamesha is bat
sai chira karti th k wo u khud ko mehndi lagae. Per han marne sai 3 ghantai
pehle usnai zindagi main pehli bar khud apne dono hatho mian mehndi lagai or
laal jora pehn kar tayar bhi hoi. Us k ghar wale sab hairan bhi hoe or jab us
sai pocha to us nai yhi kaha k pta nhi kui laikin bas dil kia to lagali, laikin
afsoos y koi bhi nahi janta tha k us kai hatho mai lagne wali ye pehli mehndi
us ki zindagi ki akhri mehndi banjae gi,…. Bas wo mehndi laga k jab laiti to us
k bad ankh wapis nhi khol pai or hamesha k lie hi sogai…… kia guzri hogi uski
maa pe, jis ki jawan beti hansi khushi achanak hi ue dunya sai chali gai, kis
guzri hogi uskai bhai per jab usnai apni jawan behen kai janzai ko kandha dia
hoga…… mujhy us larki ka hasta khailta chechra nahi bholta jab wo ahista ahista
mehndi kai khubsoorat naqsh hamare hatho main utarti thi or hum uski sust
raftari sai chir kar usai kuch kuch na zaroor kehtai thai …. Wakai zindagi ka
aitabar nhi ……
behtreen but climax of her death is missing :s
ReplyDeleteacha likha hai.. but agreed wid hirah.. wht happened to her..?? :/
ReplyDeletenothing happenend to her, she just went to sleep and never woke up.... wo jo mehndi laga k tayar hoi to hi usai anzar lagi esa us k ghr wale kehtai hian ..
Deletefantabulous !!
ReplyDelete