06 March 2012

Mazaar-e-Quaid... Yaa Jalson Ka Muqaam



     
Pakistan main mazaaron per mukhtalif jalsay or mailay lagay retay hain thora bohat farq kay saath, lakin tamam mailon or jalson kay rung yaksa hotay hain magar Pakistan kay Baani Quaid-e-Azam Muhammad Ali Jinnah kay mazaar kay jalson ka samaa he kuch alag sa hota hai. Jaisay kay Quaid-e-Azam ne Pakistan main jadeed islami nizaam ka parchar kiya tha laikin us kay bar'aks un ka mazaar par khulay asmaan kay neechay aurton ka mukhtalif harkaton say ashna hona sharam kay muqam say kam na tha.
Mazar-e-Quaid say muraad bani-e-Pakistan Quaid-e-Azam Muhammand Ali Jinnah ki aakhri araam gah hai jis ko hamaray siyasi hukmarano nay apnay faiday kay liye jalsa gah bana diya hai, jahan Imran Khan, Maulana Fazul Rehman, Pervez Musharraf or sab say baray Altaf Bhai jin kay jalsay ka to koi jawaab he nahi. Siayasat main to jalson ka, railiyun ka or dharno ka trend he chal gaey hain. Wesay to yeh trend koi naya nahi hai kafi purana he chalta araha hai, lakin ab jis siyasi leader ko apna jalsa kaamyab karwana hai to Jinnah baagh say achi jaga kaha milay gi... Ji haan yeh who he Jinnah baagh hai jis ko hum QUAID-E-AZAM ka MAZAAR khetay hain.
IMRAN KHAN nay apnay jalsay main kaha k yeh kisi tsunami say kam na tha to doosri taraf ALTAF HUSSAIN nay kaha ke ‘YEH ITNA BARA JALSA HAI KAY TAMAAM SIYAASI JAMAAT MIL KAR BHI ITNA BARA JALSA NAHI KAR SAKTI HAIN” unhon nay to khaas tor par Aurton kay liye jalsay ka ahtemaam kiya... jis main Aurtain dance karti hoe nazar aaen jin ko apni izzat ka, na apnay ghar baar ka, na apnay bachon ka koi khayal tha. Yeh wohi Aurtain hain jin k liye Napoleon nay kaha tha kay "TUM ACHI MAAEN(mother) DO, MAIN TUM KO ACHI QOUM DONGA" kya yeh he woh maaen hain jin kay liye Napoleon na yeh mutaalba kiya tha. Kya yeh apni aulaad ko achi tarbiyat de sakti hain??? jis ko apna hosh na ho woh apni aulaad ki acchi parwarish kya karen gi? Afsoos hota hai yeh tamasha dekhtay hoay kya koi in ko rooknay wala nahi hai?
Ay meri qoum kay naujawano! Apna waqt barbaad na karo kay guzra hoa waqt phir wapis nahi ata. Ay meri qoum kay buzurgon! Apni nasihat bhari zubaan band na karo, kaheen aisa na ho kay yeh band zubaan hamaray liye tabahi ka baa'ez na ban jaey. Ay meri qoum ki maaon or behno! Apni azmat ki hifazat karo, aap ki azmat hamari baqa hain na k jalso ki shan……!!!!!

2 comments:

  1. Apne yeh blog post likh k buhat acha kaam kiya bus ak do jaga choti choti si mistakes hain.... :)

    ReplyDelete
  2. behtreen ending women shud know their dignity

    ReplyDelete