27 March 2012


Hum Kitabon Se Itna Door Kyun?

Ek dor tha jab log apna waqt guzarne k liye kitabon ka sahara liya karte the. Jab bare log kehte the k kitaben insane ki behtreen dost hoti hain. Magar waqt guzarne k sath ye shoq bhi logo ka ahista ahista khatam ho giya. Ab log kitaben sirf apni library mein rakh kar bhool jate hain. Pehle log kitabon ko tuhfe (gifts) k tor par bhi ek dosre ko diya karte the magar ab ye dastoor bhi khatam ho giya hai.

Aj kal k bache computer par zayada waqt guzarte hain un k khel (games) bhi computer tak hi mehdood ho gaye hain. Hum ne apne apko kitabon se bohat door kar liya hai. Kyon hum kitabon se dobara dosti nahi kar lete. Jitna waqt hum idhar udhar ki khabrien nikalne me lage rehte hain thori koshish se dobara kitabon ko apni zindagi ka hissa bana sakte hain.

Kitabon se insane ka zehn khulta hai. Wo kitaben jin me tareekh majood hai. Wo hamare ilm me kis hud tak izafa karsakhti hain. Waqt guzarne ka behtreen zarya kabhi kitab hoti thi.

Kitab se insane ki dosti bohat purani hai. Aj kal ki nasal internet k zarye kam waqt me matlab ki maloomat hasil kar lete hain. Chahe tareekh ho ya safarname, chahe aapbeeti ho ya shaariri. Insane ki maloomat ka behtreen zarya yehi kitaben hoti thi.

Agar hum kitabon se isi tarah door rahe to wo waqt door nai jab kitaben sirf library ki zeenat reh jayengi.

2 comments:

  1. New technologies ne hamaien bigar diya hai yaar....tmki post parhnay k baad ab main buk se help layna shuru karungi ... :P

    ReplyDelete
  2. Post title k box main title likha karo..

    ReplyDelete