22 February 2012


Kash main bahoo kijaga damad hoti…..


Kash main bahoo ki jaga damad hoti, meri saas meri baalin bhi utara karti, mujhy achai achai khane bhi khilaya karti, khila pila kar duaen bhi dia karti, meri biwi ko mere agai peechai phiraya bhi karti, kash main bahoo ki jaga damad hoti …
Socha jae to baho ko bhi buhat si sahooliyat muyassar hoti hain jo damad ko shayed hi kabhi milti ho , per baho ko milne wali sab sai bari sahooliyat shayed wo insaan hota hain jise is maa nai buhat piyar sai paal poss kar 25 saal ka kia hain. Usai bethai bithai ek gharelo nujawan ki muhabbat or khaloos mil jata hai. Jo wakt wo apni maa or baap k sath guzarta tha us ka 50 feesad hissa us baho ko mil jata hai. Kabhi usai ghumane lai jata hain to kabhi usai shopping karane. Daftar sai wapsi per wo us k lie icecream lai kar jata hain chahe usai icecream pasand na bhi ho per phir bhi bas us k checre p ek haseen muskurahat dekhne k lie . .. yani bahoo hone k ye fawaid to hain per agar damad ki baat or hi hoti hain …. Baho ko shayed susral main wo makam or izzat na mile jo ek damad ko us k sasural main milti hain, jaha agar baho k lie uska shohar us k khushi k lie sab kuch karta hain wahi damad k lie na sirf us ki biwi bul k us sasural bhi sab kuch karne ko tayar hota hain kui k unho nain apni beti di hoi hoti hain ….. Allah nain aulad ki naimat sai kismat walo ko nawaza hain chache phir wo beti ho ya bera laikin is amin shadi k bandhan main bndhen ki ek esi reet bhi banai k jo k usi insaan ki aulad ko do taraf bant deti hian…..

2 comments: