23 February 2012


Zindagi Naqabil e Bharosa

Zindagi jis k liye insane itni jiddojehed karta hai kabhi kabhi kitni naqabil e bharosa hoti hai. Hum sari zindagi koshish karte hain k hamari zindagi me sab acha ho magar hota wohi hai jo hamara Rab chahta hai. Insan zindgai bhar irade banata hai, lekin Allah Taala ka ek faisla us k iradon ko khatam kar deta hai.

Hazrat Ali Karam Allah Wajho ka farman hai “mene apne iradon k tootne se apne Rab ko pehchana”. Kehte hain samaan so (100) baras ka pal ki khabar nai. Maslan Pakistan me aane wala zalzala, kia kisi ko khabar thi k ek pal me zindagi youn badal jayegi. Wo zindagi jo kabhi itni khubsoorat thi ek lamhe me itni badsoorat ho jaye gi.

Insan apni fitrat se majboor hai. Har pal wo agle lamhe ki or aane wale kal ki tayari karta hai. Apne or apne bachon k mustaqbil ki fikar me ghulta rehta hai magar wo khud nai janta k us k khud k saath zindagi kia khel khelne wali hai. Emaan ki mazbooti or Allah pe bharosa, insan ko is qabil banata hai k wo apna har kam karne k bad us ka sila Allah pe chor de. Allah pe bharosa kare k wo apne bandon k saath kabhi ghalat nai karta.

Mout wo, jahan zindagi ther jati hai. Insan ye bhool jata hai k zindagi ki aakhri had mout hai. Ye wo muqam jahan zindagi dhoka de jati or insan us k haaton me bilkul bebas hota hai. Yehi zindagi ki sachaye hai.

7 comments: