Urtai Panchi….
Pank phailatai, chehchahata gungunatai, itehad o itefaq sai
ek hi jhund main ye urtai panchi ……Jo dunya kai khayal o khuwab, fiqar o
pareshani ghum or muskurahat har ek cheez sai door apni hi ek alag dunya basai
khuda ki hamd o sana or uski naimatoo ka shukar ada karte kitne khubsoorat
lagte hain… aZadi wakai ek naimat hain per shayed y urtai panchi jab door
ufaq p apne par phailate hian to y bhool
k jate k jab sham dhalai gi to unhai wapis mur k usi zameen ki taraf ana hain…..
insaan bhi kahi na kahi shayed inhi azad urtai parindo ki
manind hain, … jo apni zindagi main gum, kuch na kuch pane ki hasrat lie bas
urta hi ja rha hain , bina y sochai smjhai k apni is uran main wo peechai kia
kuch chora rha hain,.. aj ki is matlabi dunya mian rehne wala insan apne maqasid
ko pora karne ki dhun mai bas apne par phaiali ek oonchi ooran lie uarai ja rha
hai liakin shayed wo bhi y bhol gaya hian k usai mur k usai zameen mai 2 gaz
kai makan main jana hai…
gud one chaudhary
ReplyDeleteahan gud one
ReplyDeletewah xbrdst
ReplyDeletehmmmmm accchi kaaawish hai madam..... i like your thoughts..... keep writing....
ReplyDeletezaburdast jani..mujhay laga main koi poem parh rahi hun....
ReplyDeleteRabbia.. ye ap ne apne ap ko hi compliment kia hay...Good..
ReplyDeleteAny ways...nice picturesque.
wahhhhhh g.. really !1 nice work dear
ReplyDelete