22 April 2012

ajj main uni kyun aye....?


Pharna likna kis ko nahi pasand, asa nahi hosakta hai kay hum kudrati zaheen hon aur hamain degree mil jai? hum jaty to hain uni lakin dil nahi hota, lakin jab buhat achay dost hon to dil wahe laga rehta hain lakin sirf dosto kay sath he .aur yeh pata hota hai kay mujhe dosto kay sath time guzarna hai. Hum uni  jatay to hain pernay laykin mei bhi yeh janti hon aur app bhi yahe jantay hain kay waha parhae kam aur taffreh ziada hoti hai aur agar hum class main lecture lena chalay bhi jaye to hamari teacher class nahi leti kabhi hum nahi parhtay to kabhi hamari teachers. Class main roz yeh kheti hain kay main ajj buhat important parhao gii aur pata nahi kaha ki batain kar kay chali jati hai yeh un kay class kay jana kay bad tak samjh nahi ata hai . roz uni say ghar akar sochti hon kay main ajj uni kyun gaye thiii..??


jab is sawal pay mana apni class fellows say questins kiya to har kisi nay pane dil ki bahras kuch is tarha nikali …
  •  uni mai to parhne hi aya jata hai magar ajjj na to koi parhain hoi aur na hi teacher ai ..
  • aur kuch nay is sawal ka jawab ek nae sawal ki soort main diya kay teahers paise to parhanay kay liya lati hain laikin phir parhate kyun nahi hai …?
  • aur kisi nay pocha k hum wo kyun nahi parhtay jo subject main hota hain is liya teaches or hum yaha sirf apna wakt guzarne ate hain …
  • aur kisi nay is sawal ka reaction is tarha diya kay k jin sawalat k jawab hamari teachers ko hi nahi pata hota who he sawal who hum say kyun karti hai…?
  • Ai to buaht important class leni thi per aa kay andaza howa kay  wo class wakai buaht important thi …:p 
uni ki bhi apni yadain hoti hain bas is he tarha 1st samester phr 2nd phir 3, 4, 5 .... guzartay jaye gay aur hum kuch acha aur bura sekhtay jayae gay aisa nahi hain kay hum kuch sekhtay nahi hain bas abhi hum kuch sekhna chatay nahi hain warna hamari teacher to bhat kosish karti hain sekhana ki bas dua hai kay hum sab pass hokar nikal jayae aur apni uni ka aur apni teachers ka name roshan karay AMEEN....

No comments:

Post a Comment