Hum uni se nikle maqsad tou pata tha magar koi planning sirf
ek irada tha e jazba ke hum jis maqsad se niklein hain usko aj har mumkin pora
kareinge, ishe umeed pe nikal parey na jagah pata na jaib mai paise, bus dil
mai kuch karne ka hosla le ke university ki ye 6 larkian apne azam pe gamzan
thien. Auto mai baithey apne raste or manzil ke barey mai sochte hoye jab hum
apni manzil pe pohanche tou humei pata chala ke hum mai se kisi k pass bhi
paise nahi hain.
Rakshey ka karaya 50 rupee or kisi ke pass se 30 rupey nikle
hum ne ghanimat jaan ke masoom ban ke rakshey wale se mazrat ke sath kaha k
humarey pass itne he hain, Allah ka karma k naik kaam ka inaam bhi naik us
rikhshey wale neye keh kr kuch nahi kaha k agey kisi gharib ko de daina. Mulk
mai is afratafri ke halat mai us rakhshey wale ka ye amal kisi farishtey se kam
na tha humarey liye.
Ab humne qadam barhana shru kiye us kaam k liye jis kaam ke
azam k sath hum ae they, sheher se wall chalking mitane k kaam pe. Humne apne
apne dilon mai darr ke sath pehli dewar ki chalking saaf karma shru ki, ahishta
ahista humey ahsaas hua k humarey hosle itne buland the ke garmi ki shaded
laher bhi humei mehsoos nahi hori thi, humarey dilon mai siyasi partion ka
khauf, darr kuch bhi mahsoos nahi hora tha zehen mai tha tou bas ye ke humne aj
ye kaam karma hai.
Wahan jaaney se pehle humarey dilon mai ek khauf tha ke
humey kisis siyasi party k karkun ne apna naara mitatey daikha tou ghusey mai na
aajaye laikin ye kam kartewe mujhe jo sukoon, itminaan or khushi mahsoos hoi
uska mai tasawar bhi nahi kar sakti ti na he biyaan kar sakti hun.bus ye k waqai humne kuch kar
dikhaya. Age ap sachi niyat se kuch karna chahtey ho tou ap kar sakte ho bus
hosla hona chahye rastey Allah ta’ala khud paida kar daita hai.
No comments:
Post a Comment