Zindadi naam hai jeenay ka.. laikin kya humarai
zindagi ka maqsad sirf jeena he hai ya kuch aur bhi hai???
Zindagi milnay aur bicharnay ka aik haseen
kheel hai, Kitnay log zindagi main atay hain, miltay hain aur phir bichar jatay
hain, hum rotay bhi hain aur aik din phir muskura bhi detay
hain, yehi zindagi ki asal haqeeqat hai aur isi ka naam zindagi hai. Iqbal ne
kya khoob kaha hai ke..
“Zindagi insaan ki aik dum ke siwa kuch bhi
naheen,
Dum hawa ki mouj hai, zam ke siwa kuch bhi
naheen.”
Zindagi humaray liye humaray lamhaat ka
intikhab karti hai aur kabhi kabhi in ka intikhab humain na'insafi lagta hai, Aur hum
dukhi bhi ho jatay hain...
Magar, kahin na kahin hum apni qismat par qabu rakhtay hain Kyun ke hum faisla kar saktay hain ke kis tarah logon ko aur waqiyat ko khud par asar andaaz honay dena chahiye. Is liye beshumaar dukh aur khushyan humaray khudh ke faislon se hum tak pohanchti hain.

Zindagi
"Tajurba gaah" hai aur halaat "Aazmaishain" in se guzar kar
insaan agar SONA na ban sakay to MITTI ka dhair bhi nahin rehta. Tou hamay
chahye ke hum apni zindagi guzarnay ke liye aik maqsad banaen jis main hamay tajurba bhi
ho aur aazmaishon ka saamna karnay ka hosla bhi ho tab kaheen jakay hum apni
zindagi ko behtar aur baamaqsad bana saktay hain.
No comments:
Post a Comment