Hum “kyun” ka lafz istimal karte hain
“Kyun” is lafz me aisa kia hai jo hum bar bar istimal karte
hain. Hamari koi bat is k bagher shuru nai hoti. Har bat pe “kyun” karna hamari
aadat (habit) ban gaye hai. Jese ye kyun hua? Ye bat hui to kyun hui? Mere sath
hi kyun hua?
Har bar apni baton me “kyun”
ka lafz shamil karna achi baat nai hai……ho sakta hai is me Allah ki raza shamil
ho lekin hum bas yehi kehte hain k kyun hua or isse aisa nai hona chaye tha.
Allah jo karta hai hamare ache k liye karta hai.
Kabhi hum ne socha jo hota
hai acha k liye hota hai or is me hamari bhaliye hai lekin hum har bar apni
qismat ko ilzam lagate rehte hain ya choti choti baton pe rote rehte hain or na
shukari karte rehte hain….ye nai sochte k ye sab Allah ki taraf se hua hai.
“Kyun” ka lafz hamari zindagi
me is had tak shamil ho giya hai k hum Allah ka shukar ada karna bhool gaye
hain. Hum hamesha wohi cheezon ko yad karte hain jis ki wajah se hum dukhi hue hon
kabhi un cheezon ko yad nai karte jis ki wajah se hamein khushi mili ho. Kabhi kabhi
kisi ki choti se baat apko kis had tak khush kar deti hai apko pata bhi nai
chalta lekin hum dosron ko ilzam lagte rehte hain or is baat pe bhi “kyun”
shuru kar dete hain.
Agar hum har waqt choti se
choti khushi pe Allah ka shukar ada karen to Allah bhi khush hon ge hum se or
hamare dil ko bhi sukoon mile ga or zindagi bhi assan (easy) ho jayegi.
hmmmm....thought provoking :)
ReplyDelete