Wah re FASHION!!!!!!
Is fashion ne aaj ki aurat ko
behal kar diya hai. Fashion ki samajh ho ya na ho, ya hum par acha lage ya na
lage lekin har soorat me fashion apnana zaroor hai. Fashion hamari zindagi ka
lazmi juz ban chukka hai. Har fashion sub par acha nai lagta lekin phir bhi
aurtain fashion ki dewani bani ja rahi hoti hain. Har wo fashion k kapre
(clothes) jo market me majood hain or ya fashion me hain hamein zaroor lena
hai…..chahe wo hum par acha lage ya na lage. Lekin aj ki aurat fashion k haathon
majboor hai.
Sub se pehle apne bare me ye
dekhna k hum par kia cheez achi lag rahi hai, hum kis andaaz se khoobsoorat lag
sakte hain is bat ko bhool jate hain or fashion k peeche bhagne lagte hain.
Khawateen ko fashion ka peeche pagal hone me hamare media ka bohat bara hath
hai. Hamare dramon me heroin ne jis andaaz k kapre (clothes) or zewar (jewelry)
pehne hain agar hum bhi pehne to bilkul us jese lage gain. Ye soch hamari aurat
ko bechain rakhti hai k T.V par jo naya ishtihar (ad) chal raha tha kapron
(clothes) ka wo jald se jald hamare pas bhi ho.
Fashion hamare under aise
ghus (enter) giya hai k hum us k baghar kuch nai sochte. Aisi aisi khawateen
(ladies) is andaaz k fashion karti hain k thori der k liye dil or dimagh rukh
jata hai or ek minute k liye hum ye sochte hain k fashion in k liye bana hai ya
ye fashion k liye.
Ab ap universities ko hi dekh
len jin me uniform nai hai agar wahan aisa fashion ho to bat bhi hai lekin jin
universities me uniform hai to wahan bhi bechare uniform ko fashion k tor par
le lete hain or uniform ka aisi halat kar dete hain k bas sochte hi reh jayen….
Kash k hamari khawateen
fashion pe itna zor dene k bajaye agar apni bachiyon ki tarbiyat par zor den to
shayad sadgi hamare under dobara wapis a jaye.
No comments:
Post a Comment